Wednesday, September 16, 2009

Ansoon ko ankhon ki dehleez par laya na karo,
Apne dil ki halat kisi ko bataya na karo,
Log muthi bhar namak liye ghumtey hain,
Apne zakhm kisi ko dikhaya na karo

-----------------------

Har naam sar-e-aam pukara nahin jaata
har naam yuhn kagaz pe utara nahin jaata
hoti hain mohobbat main kuch raaz ki baatein
aise to iss khel main haara nahin jaata
chaahat hain humare ke hum paas se kabhie dekhe unhe
agar woh paas aaye to hume apni palkon ko uthaya nahin jaata
ishq par zor chalta nahin ae dost
lag jaata hai yeh rog lagaya nahin jaata

-----------------------

Kya kahun tujhe?
Khwab kahun to toot jayega,
dil kahun to bikhar jayega,
Aa tera naam zindagi rakh dun,
maut se pehle to tera saath chhut na payega!

No comments:

Post a Comment

Search This Blog